Wednesday, December 2, 2009

vo din jo saath guzaary thy pyaar ke ham ny

sataa sataa ke hamein ashk-baar karati ha
tumhari yaad bohat beqarar karti ha

vo din jo saath guzaary thy pyaar ke ham ny
talaash un ko nazar baar baar karati ha

gila nahi jo nasibon ne kr diya ha juda
teri judai bhi ab ham ko pyaar karti ha

kinary baith ke jis ke kiye the qaul-o-qarar
nadi vo ab bhi tera intazar karti ha

No comments:

Post a Comment